Sunday, September 30, 2007

AA BHI JAA KI TERA INTEZAAR HAI........!

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Ki bina tere sab bezaar hai
Hamein intezaar hai us qayamat ka
Ki tere aana se us qayamat mein bhi ye dil gulzaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh ye mausam kitna khush gavaar hai
Hamein intezaar un zulphon ki ghaneri cchaon ka
Ki jinpe dil to kya ye jaan bhi nisaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh ye dile -nadaan kitna zaar zaar hai
Zindagi bahot ji li hamne
Ki bina tere ab to bas maut ki meethi neend ka intezaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh to tera ye deewana kitna beqarar hai
Kucch to reham kar aye zaalim
Itni be-ruqhi Khuda ko bhi nagavaar hai
Aa bhi jaa tera intezaar hai