Sunday, September 30, 2007

AA BHI JAA KI TERA INTEZAAR HAI........!

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Ki bina tere sab bezaar hai
Hamein intezaar hai us qayamat ka
Ki tere aana se us qayamat mein bhi ye dil gulzaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh ye mausam kitna khush gavaar hai
Hamein intezaar un zulphon ki ghaneri cchaon ka
Ki jinpe dil to kya ye jaan bhi nisaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh ye dile -nadaan kitna zaar zaar hai
Zindagi bahot ji li hamne
Ki bina tere ab to bas maut ki meethi neend ka intezaar hai
Aa bhi jaa ki tera intezaar hai

Aa bhi jaa ki tera intezaar hai
Dekh to tera ye deewana kitna beqarar hai
Kucch to reham kar aye zaalim
Itni be-ruqhi Khuda ko bhi nagavaar hai
Aa bhi jaa tera intezaar hai

Saturday, August 4, 2007

pappu pass ho gaya

jab se pappu pass ho gaya ,pinky ka khas ho gaya
dono dost ho gaye ek dosre mein sarabor ho gaye
magar pinky ko ek gham tha jo ki kuch kam na tha
jab pyar dono ko tha to dard sirf pinky ko kyon tha

ek din jab dard se raha na gaya, pinky se saha na gaya
to daat kar pappu ko apni aghosh se juda kiya
aur dard se karah kar khuda ko yaad kiya
ye dekh kar pappu khafa ho gaya
aur bola jane man main tumse kyon juda ho gaya
pinky ro rahi thi rote rote keh rahi thi
pappu tumhara pyar bada mehnga hai
tumhe kya lagta hai,mera dard bada sasta hai

ye sun kar pappu muskaraya aur kuch yun farmaya
priye prandeshvari, mere dil se lagi
main tumhare dard se anbhigya nahi
main sirf ek MANS KA TUKDA nahi
samjho, javan hasraton ko samjho le lo mujhe fir se apni aghosh mein le lo
dard agar main donga to dard ki dawa ke roop mein
pyar ka MALHAM main hi donga

ye sun kar pinky khil uthi phir se ji uthi
ab kya tha, PAPPU PHIR SE PASS KAR GAYA
dono ek baar fir dost ho gaye 
aur fir se dono ek dosre mein sarabor ho gaye+

Wednesday, July 25, 2007

kuchh dard mein doobe alfaaz........

tum meri yadoon mein ayaa na karo
meri tanhayoon mein un apna gharaunda banaya na karo
main khush hoon apni gham ki duniya mein
tum khushi ban kar un darwazaa khatkhataya na karo..........!